Muskurahat se teri roshan hai yeh jahaan.
Door tha tu jo, toh yha soona aasma.
Sath hai woh pal, jab tu mere pass tha.
Door ho ke bhi, teri yaadon mein gum raha.
Kehta hai yeh dil, aisi dhunn koi bana.
Yaad karke tujhko, de woh phirse muskuraa.
Taaron ki chaadar odein, sogaye hum raton mein.
Khubsurath tha woh pal, tera kath mere hath mein.
Kuch aur hi thi mithaas, khamosh mulakton mein.
Aankhon se dil ki bat, geherayi thi jazbaton mein.
Jaaidoyi tha safar muskhil se inn halaton mein.
Chupa tha koi raaz, teri meri lambi batton mein.
Pyaara sa ek ehsaas, meheki si inn fizzaon mein.
Ek dusre ka sath, in ishq ke panaho mein.
Yaadein jo sath hai, mausam lagey ye khushnuma.
Meethi meeyhi se thi battein teri, yaad karke sil ye khush hua.
Pyari si hi teri hasi, kaise bhule dil tujhe bhala.
Jithne pal hum sath the, uske liye shukriyaaa…
Pyaar ket he panchi, ude hum toh in hawaon mein.
Surila sa nasha, nashili inn ghataon mein.
Kholke apne pankh, chalti yeh apni raahon pe.
Tasveeron ki kitab, aur tujhko apni yaad mein.
Panahoon mein, fizzaon mein, peeche rehgayi unn rahoon mein.
Chod aya mein tujhe pirbhi kyun hai tu meri bahoon mein,
Aathey jaatey khayaloon mein, khaamoshi sawaalon mein.
Gunjhe tera hi naam aaj bhi iss dil ke galiyaaron mein.
Tu Bhi sun zara, kaisi dil ki hai ye khata.
Kene ko tu pass hai, phir bhi hai ye faasalaa.
Bann ke ajanabi, yaadon ke mein sang chala.
Yaad karle tu bhi wahi, aur de phirse musukuraaa…