Letra de
Zero - Mera Naam Tu

verse 1
Wo rang bhi kya rang hai
Joh milta na tere hont ke rang se hoo-baa-hoo
Wo khushboo kya khushboo
Tehrey naa jo teri sanwaari julf ke rubaroo
Tere aage ye duniya hai fikki si
Mere bin tu na hogi kisi ki bhi
Abb ye zaahir sare aam hai, elaan hai
Jab tak jahaan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu
INTERLUDE
verse 2
Uljhan bhi hoon teri
Uljhan ka hal bhi hoon main
Thoda sa ziddi hoon
Thoda pagal bhi hoon main
Barkha bijli baadal jhoothe
Jhoothi phoolon ki saugatein
Sacchi tu hai saccha main hoon
Sacchi apne dil ki baatein
Dastkhat haathon se haathon pe kar de tu
Naa kar aankhon pe palkon ke parde tu
Kya ye itna bada kaam hai, elaan hai
Jab tak jahaan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu
Instrumental
verse 3
Mere hi ghere mein ghoomegi har pal tu aise
Sooraj ke ghere mein rehti hai dharti ye jaise
Paayegi tu khudko na mujhse judaa
Tu hai mera aadha sa hissa sadaa
Tukde kar chaahe khaabon ke tu mere
Tootenge bhi toh rehne hain woh tere
Tujhko bhi toh ye ilhaam hai
Elaan hai?
Jab tak jahaan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu