verse 1
Jo teri khatir tadpe pehle se hi
Kya usey tadpana o
zaalima, o zaalima
Jo tere ishq mein behka pehle se hi
Kya usey behkana o
zaalima, o zaalima
Aankhen marhaba, baatein marhaba
Main sau martaba
deewana huaa
Mera na raha jab se dil mera
Tere husn ka nishana hua
Jiski har dhadkan tu ho aise
Dil ko kya dhadkana, o
zaalima, o zalima
Jo teri khatir tadpe pehle se hi
Kya usey tadpana, o
zaalima, o zaalima
Interlude
verse 2
Saanson mein teri nazdeeqiyon ka,
Itrr tu ghol de, ghol de,
Main hi kyun ishq zaahir karun,
Tu bhi kabhi bol de, bol de
Saanson mein teri nazdeeqiyon ka,
Itrr tu ghol de, ghol de,
Main hi kyun ishq zaahir karun,
Tu bhi kabhi bol de, bol de
Leke jaan hi jaayega meri
Qaatil har tera bahaana hua
Tujhse hi shuru tujhpe hi khatam
Mere pyaar ka fasaana hua
Tu shamma hai toh yaad rakhna
Main bhi hoon parwaana, o zaalima, o
zaalima
Jo teri khatir tadpe pehle se hi
Kya usey tadpana o zaalima, o
zaalima
verse 3
Deedaar tera milne ke baad hi
Chhoote meri angdaayi
Tu hi bata de kyun zaalima main
kehlayi
Kyun iss tarah se duniya jahan mein
Karta hai meri ruswayi
Tera qusoor aur zaalima main kehlayi
Deedaar tera milne ke baad hi
Chhoote meri angdaayi
Tu hi bata de kyun zaalima main
kehlayi
Tu hi bata de kyun zaalima main
kehlayi