Aisa dekha nahi khoobsurat koi
Jism jaise Ajanta ki murat koi
Jism jaise nigahon pe jadoo koi
Jism nagma koi jism khushboo koi
Jism jaise mehakti hui chandni
Jism jaise machalti hui ragini
Jism jaise ke khilta hua ik chaman
Jism jaise ke suraj ki pehli kiran
Jism tarsha hua dilkasho dilnashin
Sandli sandli marmari marmari
Husane jaana ki tareef mumkin nahi
Husane jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen afreen afreen
Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin
Afreen afreen afreen afreen
Verse
Chehra ik phool ki tarah shadaab hai
Chehra uska hai ya koi mehtaab hai
Chehra jaise ghazal chehra jaane ghazal
Chehra jaise kalli chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasavur bhi tasveer bhi
Chehra ik khaab bhi chehra tabeer bhi
Chehra koi aliflailvi dastaan
Chehra ik pal yakeen chehra ik pal gumah
Chehra jaisa ke chehra kahin bhi nahi
Mahrooh mahrooh mehjabin mehjabin
Husane jaana ki tareef mumkin nahi
Husane jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen afreen afreen
Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin
Afreen afreen afreen afreen