Yeh chaand saa roshan chehara,
Zulfon kaa rang sunahara
Yeh jheel si nelee aankhein,
Koi raaz hain in mein gahara
Taareef karon kya uski, jis ne tumhe banaaya!
Ek cheez kayaamat bhi hai,
Logon se suna karate thein
Tumhe dekh ke maine manaa,
Wo thik kaha karate thein
Wo thik kaha karate thein!
Hai chaal mein teri zaalim,
Kuchh aisi bala ka jaadoo
Sau baar sambhala dil ko,
Par ho ke raha bekaaboo
Taareef karon kya uski, jis ne tumhe banaaya!
Yeh chaand saa roshan chehara,
Zulfon kaa rang sunahara
Yeh jheel si nelee aankhein,
Koi raaz hain in mein gahara
Taareef karon kya uski, jis ne tumhe banaaya!
Har subha kiran ki laali,
Hain rang tere gaalon kaa
Har shaam ki chaadar kaali,
Saaya hain tere baalon ka
Har subha kiran ki laali,
Hain rang tere gaalon kaa
Har shaam ki chaadar kaali,
Saaya hain tere baalon ka
Saaya hain tere baalon ka
Tu balakhati ek nadiyan,
Har mauj tere angdaayi
Jo in maujon mein doobaa,
Us ne hi duniya payee
Taareef karon kya uski, jis ne tumhe banaaya!
Yeh chaand saa roshan chehara,
Zulfon kaa rang sunahara
Yeh jheel si nelee aankhein,
Koi raaz hain in mein gahara
Taareef karon kya uski, jis ne tumhe banaaya!
Main khoj me hoon manzil ki,
Aur manzil paas hai mere
Mukhdese hatha do aanchal,
Ho jaaye door andhere
Ho jaaye door andhere
Maana ke yeh jalwe tere,
Kardenge mujhe deewana
Jee bharke zara yeh dekhoon,
Andaaz tera mastana
Taareef karon kya uski, jis ne tumhe banaaya!
Yeh chaand saa roshan chehara,
Zulfon kaa rang sunahara
Yeh jheel si nelee aankhein,
Koi raaz hain in mein gahara
Taareef karon kya uski, jis ne tumhe banaaya!
Taareef karon kya uski, jis ne tumhe banaaya! X5
(gradually speed up the tempo till end)