Lyrics of
Mehaboob Ki Mehandi - Jane Kyo Log Mohabbat

Tanhai milti hai, mehfil nahi milti
Raah-e-mohabbat mein,kabhi manzil nahi milti
Dil toot jata hai, nakam hota hai
Ulfat mein logon ka yehi anjam hota hai
Koyi kya jane, kyon yeh parwane
Kyo machalte hai gham me jalte hai
Aahein bhar bhar ke diwane
jiya karte hain
Aahein bhar bhar ke diwane
jiya karte hain
Jane kyon log mohabbat
kiya karte hain

Sawan mein aankhon ko, kitna rulati hai
Furqat mein jab dil ko kisi ki yaad aati hai
Yeh zindagi yoon hi Dmbarbad hoti hai
Har waqt hothon pe koyi fariyad hoti hai
Na dawaon ka naam chalta hai
Na duaon se kaam chalta hai
Zehar yeh phir bhi sabhi kyon
piya karte hain
Zehar yeh phir bhi sabhi kyon
piya karte hain
Jane kyon log mohabbat
kiya karte hain

Mehboob se har gham mansoob hota Hai
Din raat ulfat mein tamasha khoob hota hai
Raaton se bhi lambe yeh pyar ke kisse
Aashiq sunate hain jafa-e-yaar ke kisse
Bemuravvat hai, bewafa hai woh
Us sitamgar ka apne dilbar ka
Naam lele ke duhayi
diya karte hain
Naam lele ke duhayi
diya karte hain
Jane kyon log mohabbat
kiya karte hain