jaan-e-man jaan-e-man
jaan-e-man jaan-e-man
jaan-e-man kisi ka naam nahi
phir bhi yeh naam honthon pe na ho
aisi koi subah nahi, shaam nahi
jaan-e-man jaan-e-man
jaan-e-man jaan-e-man
maine sifr khayaalo se, khwaabo ki sej sajaai hai
dil ki khali deewaro par ik tasveer banaayi hai
tasveero pe marta hu, waqt guzaara karta hu
main mehboob ki galiyo ka, koi aashiq badnaam nahi
jaan-e-man jaan-e-man
jaan-e-man jaan-e-man
kal ki baat khuda jaane par aaj talaq wo baat nahi
kal ki baat khuda jaane par aaj talaq wo baat nahi
dil par baadal chaaye hain par aankho mein barsaat nahi
aisa main deewana hu, aisa main mastaana hu
pyaas to hai in hontho par, lekin haatho mein jaam nahi
jaan-e-man jaan-e-man
jaan-e-man jaan-e-man
jaan-e-man kisi ka naam nahi
phir bhi yeh naam honthon pe na ho
aisi koi subah nahi, shaam nahi
jaan-e-man jaan-e-man
jaan-e-man jaan-e-man